Ye Jo Kuchh Aaj Hai Kal to Nahin Hai

ye jo kuchh aaj hai kal to nahīñ hai

ye shām-e-ġham musalsal to nahīñ hai

maiñ akasr rāstoñ par sochtā huuñ

ye bastī koī jañgal to nahīñ hai

yaqīnan tum meñ koī baat hogī

ye duniyā yūñhī pāgal to nahīñ hai

maiñ lamha lamha martā jā rahā huuñ

mirā ghar merā maqtal to nahīñ hai

kisī par chhā gayā barsā kisī par

vo ik āvāra bādal to nahīñ hai

Leave a Comment