
Poet
a.ina tumhare naqsh-e-pa ka
ḳhurshid ko de sabaq jila ka
o vasl men munh chhupane vaale
ye bhi koi vaqt hai haya ka
jab aankh khuli to be-ḳhudon se
parda tha jamal-e-ḳhud-numa ka
dil aur vo but zahe muqaddar
zulm aur ye dil ghazab ḳhuda ka
ja baiThe hain mujh se duur uTh kar
kya paas kiya hai iltija ka
bole vo ‘hasan’ ka ḳhuun mal kar
kya shoḳh hai rang is hina ka

Leave a Reply