aa raha hai ik sitara asman se tuut kar
daudta apne junun ki raah par divana-var
apne dil ke shoala-e-sozan men khud jalta hua
muntashir karta hua daman-e-zulmat men sharar
apni tanhai pe khud hi naaz farmata hua
shauq par karta hua ain-e-fitrat ko nisar
kis qadar bebak kitna tez kitna garm-rau
jis se sayyaron ki asuda-khirami sharmsar
mauja-e-dariya isharon se bulati hai qarib
apni sangin god phailae hue hai kohsar
hai hava bechain anchal men chhupane ke liye
badh raha hai kurra-e-giti ka shauq-e-intizar
lekin aisa anjum-e-raushan-jabin o tabnak
khud hi ho jaata hai apni tabnaki ka shikar
Leave a Reply