Be-Sabab Wo Na Mere Qatl Ki Tadbir Mein Tha

be-sabab vo na mire qatl kī tadbīr meñ thā

us ke hāthoñ hī se miTnā mirī taqdīr meñ thā

muntazir thā tirā dīvāna-e-gesū jis raat

ālam-e-chashm har ik halqa-e-zanjīr meñ thā

jumbish-e-lab kā gumāñ hotā thā āshiq ko tire

is qadar lutf-e-ḳhamoshī tirī tasvīr meñ thā

o kamāñ-abrū jo ik tiir lagāyā to kyā

ishtiyāq is se zyāda dil-e-naḳhchīr meñ thā

murġh-e-bismil sā taḌaptā thā har ik murġh-e-sahar

asar-e-tīr mire nāla-e-shab-gīr meñ thā

Leave a Comment