zindagi yuun to bahut ayyar thi chalak thi
maut ne chhu kar jo dekha ek muTThi ḳhaak thi
jagti ankhon ke sapne dil-nashin to the magar
mere har ik ḳhvab ki ta.abir haibatnak thi
aaj kanTe bhi chhupa.e hain libadon men badan
ik zamane men to fasl-e-gul bhi daman chaak thi
tha hamen bhi har qadam pe naak kaT jaane ka Dar
un dinon ki baat hai jab apne munh par naak thi
tha laḌakpan ka zamana sarfaroshi se bhara
ham usi talvar par marte the jo saffak thi
doston ke darmiyan sach bolte Darta hai vo
dushmanon ki bhiiḌ men jis ki zaban be-bak thi
Leave a Reply