batao kis tarah pahunche ho shab ko tum Thikane par
mujhe to kuchh bharosa bhi nahin hai is zamane par
batao kaun tha kis ne jala Daala tumhara ghar
parinda bhi nazar rakhta hai apne ashiyane par
na jaane kis tarah honge yahan halat behtar ab
yahan to saanp baiThe hain jidhar dekho ḳhazane par
mujhe malum hai mujh ko diya hai zahr tu ne hi
bharosa kya karun ab yaar tere dostane par
ye ham se dushmani teri samajh men hi nahin aati
faqat ham ahl-e-dil hi rahte hain tere nishane par
koi aisa fasana tu suna ai ham-safar mujh ko
haqiqat ka guman hone lage tere fasane par
abhi bhi vaqt hai ‘zebi’ agar chaho to lauT aao
yahan bhi naam likkha hai tumhara daane daane par
Leave a Reply