khair auron ne bhi chaha to hai tujh sa hona
ye alag baat ki mumkin nahin aisa hona
dekhta aur na thaharta to koi baat bhi thi
jis ne dekha hi nahin us se khafa kya hona
tujh se duuri men bhi khush rahta huun pahle ki tarah
bas kisi vaqt bura lagta hai tanha hona
yuun meri yaad men mahfuz hain tere khad-o-khal
jis tarah dil men kisi shai ki tamanna hona
zindagi marka-e-ruh-o-badan hai ‘mushtaq’
ishq ke saath zaruri hai havas ka hona
Leave a Reply