bahut be-zar hoti ja rahi huun
main khud par baar hoti ja rahi huun
tumhen iqrar ke raste pe la kar
main khud inkar hoti ja rahi huun
kahin main huun sarapa rahguzar aur
kahen divar hoti ja rahi huun
bahut muddat se apni khoj men thi
so ab izhar hoti ja rahi huun
bhanvar dil ki tahon men ban rahe hain
main be-patvar hoti ja rahi huun
tumhari guftugu ke darmiyan ab
yunhi takrar hoti ja rahi huun
ye koi khvab karvat le raha hai
ki main be-dar hoti ja rahi huun
kisi lahje ki narmi khul rahi hai
bahut sarshar hoti ja rahi huun
mira tesha zamin men gad gaya hai
junun ki haar hoti ja rahi huun
Leave a Reply