• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hain Agar Dar-O-Rasan Subh-E-Munawwar Ke Ewaz

Hain Agar Dar-O-Rasan Subh-E-Munawwar Ke Ewaz

hain agar dar-o-rasan sub.h-e-munavvar ke evaz

phir to ḳhurshed hi ubhrega mire sar ke evaz

ham ko bhi sar koi darkar hai ab sar ke evaz

patthar ik ham bhi chala dete hain patthar ke evaz

farq kya paḌta hai ho jaa.e agar dad-rasi

ik nazar dekh hi lo va.ada-e-mahshar ke evaz

ham ne chaha tha ki patthar hi se Thokar kha.en

sar bhi ik ham ko mila raah men patthar ke evaz

pasbanan-e-chaman rah ga.e bairun-e-chaman

nargis-e-ḳhufta mili sarv-o-sanobar ke evaz

ab kahan pahla sa saaqi ke karam ka dastur

aabru bechni paḌ jaati hai saghar ke evaz

kya ḳhabar hai vo chale aa.en saja luun ghar ko

mauj-e-gul aane lagi aaj to sarsar ke evaz

un ke va.ade ki jo tasdiq bhi chahi ‘nuri’

saaf inkar tha ta.id-e-mukarrar ke evaz

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bahana Kar Liya Phir Se Haya Ka

Main Azal Ka Rah-Rau Mujhko Abad Ki Justuju

Hamein to Harf-E-Tamanna Zaban Pe Lana Hai

Jab Juda peDon Se kaT Kar Dali Dali Ho Gai

Wahi Taj Hai Wahi taKHt Hai Wahi Zahr Hai Wahi Jam Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet