marhala dil ka na tasḳhir hua
tu kahan aa ke inan-gir hua
kaam duniya ka hai tir-andazi
ham hue ya koi naḳhchir hua
sang-e-buniyadi hain ham us ghar ka
jo kisi tarah na ta.amir hua
safar-e-shauq ka hasil ma.alum
rasta paanv ki zanjir hua
umr-bhar jis ki shikayat ki hai
dil usi aag se iksir hua
kis se puchhen ki vo andaz-e-nazar
kab tabassum hua kab tiir hua
kaun ab dad-e-suḳhan de ‘baqi’
jis ne do sher kahe ‘mir’ hua
Leave a Reply