dil salamat agar apna hai to dildar bahut
hai ye vo jins ki jis ke hain kharidar bahut
ek main hi tire kuche men nahin huun betab
sar patakte hain khabar le pas-e-divar bahut
dekhiye kis ke lage haath tira gauhar-e-vasl
is tamanna men to phirte hain talabgar bahut
kahin nargis ko magar tu ne dikhain ankhen
nahin bachte nazar aate hain ye bimar bahut
kya karun kis se kahun haal kidhar ko jaun
tang aaya huun tire haath se dildar bahut
apne ashiq se kiya puchho to kaise ye suluk
aur bhi shahr men hain tujh se trahdar bahut
tire aate to koi phuul na hoga sarsabz
kya hua baagh men go phule the gulzar bahut
ek din tujh ko dikhaunga main in khuban ko
dava-e-yusufi karte to hain izhar bahut
jurm-e-bosa pe jo ‘bedar’ ko maara maara
na karo jaane do is baat pe takrar bahut
Leave a Reply