• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nigah-E-Yar Humse Aaj Be-Taqsir Phirti Hai

Nigah-E-Yar Humse Aaj Be-Taqsir Phirti Hai

poet

nigah-e-yar ham se aaj be-taqsir phirti hai

kisi ki kuchh nahin chalti hai jab taqdir phirti hai

muraqqaa hai miri ankhon men kya yaran-e-rafta ka

jo nazron ke tale har ek ki tasvir phirti hai

tira divana jab se uth gaya sahra-e-vahshat se

bagule ki tarah se dhundhti zanjir phirti hai

tiri talvar ka munh ham se phir jaae to phir jaae

hamari aankh kab qatil tah-e-shamshir phirti hai

kabhi to khinch laegi use gor-e-ghariban par

ki muddat se hamari khaak daman-gir phirti hai

bayan kis munh se hoe yaar ki shirin-kalami ka

zaban par apni ab tak lazzat-e-taqrir phirti hai

maqam-e-ishq men shah-o-gada ka ek rutba hai

zulekha har gali-kuche men be-tauqir phirti hai

firaqe-e-gul men itna tu abas nalan o muztar hai

bahar-e-rafta phir ai bulbul-e-dil-gir phirti hai

dar-e-bab-e-asar tak ek din jaate nahin dekha

khuda jaane kahan ye ah-e-be-tasir phirti hai

khuda shahid hai is ka phir nahin milti nahin milti

tabiat apni jis se o but-e-be-pir phirti hai

ham us laila ko divane hain ai ‘ghafil’ jo sahra men

baghal men apne majnun ki liye tasvir phirti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hisar-E-Maqtal-E-Jaan Mein Lahu Lahu Main Tha

firaq-gorakhpuri

Har Uqda-E-Tadir-E-Jahan Khol Rahi Hai

Zara Bhi Kaam Na Aaega Muskurana Kya

Humne Sikha Hai Mohabbat Karna

In chaTaKHte Pattharon Par Panw Dharna Dhyan Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet