• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin

Aagahi Maut Se Kam Bhi Nahin Ruswa Bhi Nahin

agahi maut se kam bhi nahin rusva bhi nahin

dekhta huun vo tamasha jo tamasha bhi nahin

jalva mushtaq bhi huun jalva taqaza bhi nahin

husn majruh-e-nazar ho ye gavara bhi nahin

zindagi ham ko bahut der men raas aa.i hai

dard kam bhi nahin imkan-e-mudava bhi nahin

raah paata hai zamana miri gumrahi se

manzilen kya mire aage koi rasta bhi nahin

ba.az vaqton ke ḳhayalat bhi kya hote hain

duur tak jaise main tanha bhi huun tanha bhi nahin

sabiqa aise sitamgar se hai din raat apna

ya.ani qatil bhi nahin vo to masiha bhi nahin

raushni milti hai duniya ko unhi logon se

jin ke hisse men charaghon ka ujala bhi nahin

apne hi shahr men ab apne shanasa kam hain

dasht-e-ghurbat men ajab kya jo shanasa bhi nahin

har tabahi ka sabab hai dil-e-muztar tanha

gham hazar afat-e-jan hai magar itna bhi nahin

haq rifaqat ka ada kar diya shayad us ne

dil gulistan bhi nahin dard ka sahra bhi nahin

mashvare dete hain ahbab mujhe ‘shauq’ aise

jaise ab tak mujhe andaza ḳhud apna bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kisi Sanche Mein Dhal Nahin Pati

akhtar-ul-iman

Aamadgi

ali-sardar-jafri

Ek Subh Hai Jo Hui Nahin Hai

Pai Hamesha Ret Bhanwar kaTne Ke Baad

ishrat-afreen

Is Shahr-E-Kaj-Kulah Ke Aasar dekhna

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet