main sham.a-e-bazm-e-alam-e-imkan kiya gaya
insaniyat ko dekh ke insan kiya gaya
ab mere imtihan ka saman kiya gaya
ya.ani supurd-e-alam-e-imkan kiya gaya
mahfuz main ne rakkhe junun ke tabarrukat
daman agar phaTa to gareban kiya gaya
tai kar ke irtiqa ke manazil ko shauq se
pahuncha jab apne had pe to insan kiya gaya
sach puchhiye to kya tha faqat ek ḳhar-zar
mere liye jahan ko gulistan kiya gaya
dariya to aur bhi the zamane men be-shumar
ab-e-hayat chashma-e-haivan kiya gaya
kuchh aur raushni ka baḌha husn ya nahin
fanus men jo sho.ale ko pinhan kiya gaya
Leave a Reply