• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Kaun Sa Parwana Mua Jal Ke Lagan Mein

Ye Kaun Sa Parwana Mua Jal Ke Lagan Mein

poet

ye kaun sa parvana mua jal ke lagan men

hairat se jo hai shama ki angusht dahan men

kahte hain use chah-e-zanakhdan ghalati se

bose ka nishan hai ye tire seb-e-zaqan men

vo aina-tan aaina phir kis liye dekhe

jo dekh le munh apna har ik uzv-e-badan men

vo subah ko is dar se nahin baam par aata

naama na koi bandh de suraj ki kiran men

mazmun nahin likhte ham use dagh-e-jigar ka

rakh dete hain laale ki kali khat ki shikan men

ye gard-e-kudurat se pas-e-marg tha dil saaf

dhabba na laga khaak ka bhi mere kafan men

zindan men asiron se ye kahta tha mah-e-misr

ghurbat hi men aram mila aur na vatan men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kis Jhutpute Ke Rang Ujalon Mein Aa Gae

Ishq Ne Jab Bhi Kisi Dil Pe Hukumat Ki Hai

azra-naqvi

Kisi Ehsas Mein Pahli Si Ab Shiddat Nahin Hoti

Zindagi Ka Ye Ajab Dastur Hai

poet

Barq Betab Hai Tum ruKH Ki Chamak to Dekho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet