bachpan tha vo hamara ya jhonka bahar ka
lauT aa.e kaash phir vo zamana bahar ka
khiḌki men ik gulab mahakta tha samne
barson se band hai vo daricha bahar ka
kaliyon ka husn gul ki mahak titliyon ka raqs
hai yaad mujh ko aaj bhi chehra bahar ka
arsa guzar gaya pa lage kal ki baat ho
us bagh-e-husn men mira darja bahar ka
daur-e-ḳhizan men dil ke bahalne ka hai sabab
ankhon men meri qaid nazara bahar ka
kaliyan ko baghban hi masalta hai jab kabhi
rota hai zaar zaar kaleja bahar ka
marzi pe gulsitan ki bhala kab hai munhasir
aana bahar ka ya na aana bahar ka
Leave a Reply