Ek Hi Ghar Mein Rakh Diye Kis Ne Juda Juda Charagh

ek hī ghar meñ rakh diye kis ne judā judā charāġh

tere liye jalā charāġh mere liye bujhā charāġh

ishq-o-talab kī raah meñ bād-e-havas bhī tez thī

maiñ ne jalāyā rāt-bhar kar ke ḳhudā ḳhudā charāġh

sub.h huī to āftāb saarī bisāt ulaT gayā

raat usī maqām par raunaq-e-bazm thā charāġh

vaqt-e-sahar jo pūchh le koī to kyā batā.ūñgā

tāq-e-junūñ pe rāt-bhar kis ke liye jalā charāġh

kaun thā mere rū-ba-rū ālam-e-vajd-o-hāl meñ

kis kī nigāh-e-lutf se ban gayā aa.ina charāġh

vādī-e-jāñ meñ daf.atan kaisī ye raushnī huī

kis kī nazar ne kar diye manzar-e-shab meñ vā charāġh

koī ḳhabar na lā sakī jis kī havā-e-tund bhī

rakhte haiñ is maqām kā saarā atā-patā charāġh

taḳhtī-e-shab pe likh diyā vaqt ne ye bhī vāqi.a

zard havā ke sāmne sīna-sipar rahā charāġh

mujh ko ‘ziyā’ vo chāhiye ghar jo mirā ujaal de

merā na mas.ala qamar merā na mudda.ā charāġh

Leave a Comment