kya bata.un dil kahan hai aur kis ja dard hai
main sarapa dil huun dil mera sarapa dard hai
ye samajh len pahle aap ai hazrat-e-isa zara
kis ke dil men dard hai ye aur kis ka dard hai
jo chala duniya se vo rakkhe hue siine pe haath
main samajhta huun ki sab ke dil men tera dard hai
mere chup rahne se to ghafil hai o zahir-parast
zarf bhi utna hi main rakhta huun jitna dard hai
har taḌap par qalib-e-murda men aa jaati hai ruuh
mujh mariz-e-na-tavan ki jaan goya dard hai
bach ga.e to intiha-e-ishq men lutf aa.ega
aur abhi to ibtida men intiha ka dard hai
apna apna haal kah lene do ‘natiq’ sab ko tum
janta hai vo ki kis ke dil men kitna dard hai
Leave a Reply