main surḳh phuul ko chhu kar palaTne vaala tha
vo jazb tha ki mira jism kaTne vaala tha
us ek rang se paida hui ye qaus-e-quzah
vo ek rang jo manzar se ha.Tne vaala tha
mire qarib hi ik taaq men kitaben thiin
magar ye dhyan kahin aur baTne vaala tha
ajiib shaan se utri thi dhuup ḳhvahish ki
main apne saa.e se jaise lipaTne vaala tha
tavil guftugu hoti rahi sitaron se
nigar-ḳhana-e-hasti ulaTne vaala tha
zamin pe amad-e-adam ka shor barpa hua
vagarna rizq farishton men baTne vaala tha
ḳhuda ka shukr hai nashsha utar gaya mera
ki main subu men samundar ulaTne vaala tha
lapak rahi thi koi aag is taraf ‘azar’
main us se duur bahut duur ha.Tne vaala tha
Leave a Reply