suraj ki tapti dhuup ne maara hai in dinon
pedon ki chhanv ka hi sahara hai in dinon
ham ko bhi dil ke dard ne maara hai in dinon
dard-e-jigar ghazal men utara hai in dinon
ehsas barf barf hain dil ki zamin par
yadon ki dhuup ka hi sahara hai in dinon
sukhe badan ki khaak pe gham ki phuvar thi
ye hi sabab hai jism men gaara hai in dinon
ye ashk ab to pyaas bujhane lage miri
ye abshar apna sahara hai in dinon
gham ke thapede biich samundar men le gae
khushiyon ka mujh se duur kinara hai in dinon
‘sima’ ki dhadkanen bhi tumhari kaniz hain
dil par hamare raaj tumhara hai in dinon
Leave a Reply