Uski Aankhon Pe Man Tha Hi Nahin

us kī āñkhoñ pe maan thā hī nahīñ

ḳhvāb the ḳhvāb-dān thā hī nahīñ

maiñ ta.āqub meñ chal paḌā jis ke

dhuul thī kārvān thā hī nahīñ

do zamīñ-zād jis meñ rah sakte

is qadar āsmān thā hī nahīñ

gir paḌā huuñ to rāste ne kahā

terā mujh par to dhyān thā hī nahīñ

ek ḳhvāhish thī do diloñ ke biich

aur kuchh darmiyān thā hī nahīñ

ham ne phūloñ se ḳhuub bāteñ kiiñ

baaġh meñ bāġhbān thā hī nahīñ

us ne chāhā ki jaanā jā.ūñ maiñ

us se pahle jahān thā hī nahīñ

umr us meñ guzār dī ‘mumtāz’

vo jo merā makān thā hī nahīñ

Leave a Comment