ai salik intizar-e-haj men kya tu hakka-bakka hai
baghole sa tu kar le tauf-e-dil pahlu men makka hai
charagh-e-gul ko raushan kar diya aahon ke shoale se
hazaron darje bulbul kham-parvanon se pakka hai
jo hai har sang men pinhan so atish laal se chamki
sabhi men haq hai har aarif men kya seva jhamakka hai
gai niin bu-e-shir us lab se lekin dekh vo talat
vahi mahtab ka hai ab-o-afsurda ho chakka hai
ai rab irfan ke darpan ko na rove jauhar-e-khvahish
havas ki mauj almas-e-safa-e-dil ko lakka hai
vo zulf-o-ru se jag hai kufr-o-iman ke taraddud men
do dil karne kuun ik aalam ke mera shokh pakka hai
dil-e-bairagi-e-‘uzlat’ men rakhta hai dam-e-hasti
kamar men uus miyan ke jaise saili ka mutakka hai
Leave a Reply