chheḌi bhi jo rasm-o-rah ki baat
vo sun na sake nigah ki baat
har-lahza badal rahe hain halat
mujh se na karo nibah ki baat
kahte hain tiri mizha ke taare
ḳhud meri shab-e-siyah ki baat
ab hai vo nigah na vo tabassum
kuchh aur thi gaah gaah ki baat
kya yaad na aa.ega ye anjam
kis dil se karenge chaah ki baat
Leave a Reply