lamha lamha roz-marra zindagi ke saath hai
ek lamha jo kisi aaise jahan ki zindagi ka haath hai
jis men main rahta nahin jis men koi rahta nahin
jis men koi din nahin hai raat ka pahra nahin
jis men sunta hi nahin koi na koi baat hai
roz-marra zindagi se yuun guzarta hai kabhi
saath le jaata hai guzri umr ke hisse kabhi
jo basar ab tak hua us ko ghalat karta hua
aur hi ik zindagi se ashna karta hua
jo guman tak men na tha us ko dikha jaata hua
vahm tak jis ka na tha us vaqt ko laata hua
phir chala jaata hai apne asl ke asar men
aur ham masruf ho jaate hain phir
apne roz-o-shab ke karobar men
Leave a Reply