vo zaar huun ki sar pe gulistan utha liya
vo khaar huun ki pahlu-e-gul ko daba liya
kya mujh se chaal chalte vo main bhi huun chaliya
katra ke chal diye the ki banda ne ja liya
kya baat bosa-e-lab-e-jan-bakhsh yaar ke
panje se maut ke mujhe us ne bacha liya
main jaise naale karta huun un ke khayal men
gaay to is tarah se gavayya khayaliya
un ki gali ke kutte se tu munh ki khaega
haddi ka mere naam jo tu ne huma liya
tasvir khinchta huun sarapa-e-yar ki
hain alam-e-misal ki sher-e-misaliya
uthva diya raqib ko vaan baith baith ke
aise jame ki ham ne bhi naqsha jama liya
daghon ki bas dikha di divali men raushni
ham sa na hoga koi jahan men divaliya
kahne lage murid ki pahunche hue hain aap
muusa bana vo haath men jis ne asa liya
aise na jeb-katre kahin hain na gath-kate
pahlu men baithte hi dil us ne uda liya
aaya shabab ruup pe husn-o-jamal hai
is baagh men bahar ne rang ab jama liya
vaaiz hisab denge vahan tujh se dana-zad
ravaq ka hai shukr jo khilvaya kha liya
yaad aa gai jo ham ko vo gardan surahi-dar
shishe ko mai-kade men gale se laga liya
lillah bu-e-gul se na kar mujh ko bad-dimagh
khushbu uda ke un ke badan ki saba liya
aate hain vo kahin se to ai ‘mehr’ qarz daam
chikni dali ilaichi manga paan chhaliya
Leave a Reply