zehn be-samt ḳhayalon ka nishana hai yahan
zindagi jaise yunhi Thokaren khana hai yahan
naghma nauha hai yahan chiḳh tarana hai yahan
baat sau Dhang se karne ka bahana hai yahan
qahqaha apni tabahi pe lagana hai yahan
is ḳhazana ko bahar-hal luTana hai yahan
kal kutub-ḳhanon ki ham log bhi raunaq honge
har haqiqat ke muqaddar men fasana hai yahan
is ḳharabe se nikal kar lab-e-dariya kya jaa.en
ek qatre men samundar ka fasana hai yahan
kaise be-harf-o-sada dard ki rudad kahen
ek ek lafz to sadiyon ka purana hai yahan
ghar se ghabra ke jo nikla to ye boli dahliz
paanv shal honge to phir lauT ke aana hai yahan
har taraf soch men Duube hue yaksan chehre
jaise har chaar taraf a.ina-ḳhana hai yahan
Leave a Reply