mukaddar hi tha kuchh aisa hamara
safar kaTta raha tanha hamara
ka.i chehron ka gham hai is men shamil
hamara hai kahan chehra hamara
vo bhule aur ham bhule na un ko
ta.alluq hai yahi un ka hamara
hamen manzil pe aa kar ye ḳhalish hai
palaT jaate to kya jaata hamara
nibhane ki musalsal koshishon men
bigaḌta hi gaya rishta hamara
chiḌhata hai koi lahron ko aksar
bana kar ret par naqsha hamara
hai apni ‘chandni’ hi chaar din ki
bigaḌegi hi kya duniya hamara
Leave a Reply