thartharati rahi charagh ki lau
ashk palkon pe kaanp kaanp gae
koi aansu na ban saka taara
shab ke saae nazar ko dhanp gae
kat gaya vaqt muskurahat men
qahqahe ruuh ko pasand na the
vo bhi anhken chura gae akhir
dil ke darvaze jin pe band na the
saunp jaata hai mujh ko tanhai
jis pe dil e’tibar karta hai
banti jaati huun nakhl-e-sahrai
tu ne chaha to main ne maan liya
ghar ko bazar kar diya main ne
bech kar apni ek ek umang
tujh ko zardar kar diya main ne
apni be-chargi pe ro ro kar
dil tujhe yaad karta rahta hai
qahqahon ke siyah ujale men
jism fariyad karta rahta hai
Leave a Reply