kyuun ḳharabat men laf-e-hama-dani vaa.iz
kaun sunta hai tiri harza-bayani vaa.iz
daftar-e-va.az ke nuqte bhi na honge itne
jitne hain dil men mire dagh-e-nihani vaa.iz
sach sahi jannat-o-dozaḳh ka fasana lekin
kis tarah maan luun main teri zabani vaa.iz
be-vazu pa-e-ḳhum-e-bada ko chhu leta hai
ḳhaak aati hai tujhe martaba-dani vaa.iz
narm bhi dil suḳhan-e-garm se ab tak na hua
dekh li ham ne tiri sho.ala-bayani vaa.iz
nek-o-bad ḳhuub samajhta huun karun kya ki abhi
sunne deta nahin ashob-e-javani vaa.iz
rindi-o-zohd riya.i men hain donon yakta
misl mera hai na tera koi saani vaa.iz
ye ḳharabat hai ja ḳhair se apne ghar ko
munh ki khulva.e na phir tez-zabani vaa.iz
aaj samjha ga.i kya tujh ko ibadat teri
na raha mashghala-e-ashk-fishani vaa.iz
is qadar hai jo dam-e-naza.a havas duniya ki
saath le ja.ega kya alam-e-fani vaa.iz
rind huun de mujhe jam-e-mai-at.har ki ḳhabar
tujh ko kausar ka mubarak rahe paani vaa.iz
zard ho jaata hai sun kar ruḳh-e-gulgun mera
tiri taqrir hai ya bad-e-ḳhizani vaa.iz
naqsha firdaus ka baton men dikha deta hai
ye zaban hai tiri ya ḳhama-e-mani vaa.iz
chalte phirte nahin be-vaj.h ye rona mera
saath phirta huun liye gham ki nishani vaa.iz
kya ruke ḳhama-e-‘taslim’ dam-e-fikr-e-suḳhan
tab.a men aaj hai dariya ki ravani vaa.iz
Leave a Reply