ek mauhum si ḳhushi ki tarah
tum mile bhi to ajnabi ki tarah
tirgi ke udaas jangal men
ham bhaTakte hain raushni ki tarah
gham-e-dauran sanvar duun tujh ko
apne giton ki dilkashi ki tarah
yad-e-janan utar ke aa.i hai
shab ke ziine se chandni ki tarah
mehrban ho ke saath chalti hai
zindagi dard-e-zindagi ki tarah
aarzu ka hasin savera bhi
aaj naraz hai kisi ki tarah
zindagi ka ḳhayal bhi ‘saqib’
ruuTh jaa.e na zindagi ki tarah
Leave a Reply