jaadu se nikala hai na mantar se nikala
ye ism-o-sifat lafz ke andar se nikala
mehnat ki mujhe ḳhuub ye saughat mili hai
ik gauhar-e-nayab samundar se nikala
kam-zarf zamane ki safahat ka gila kiya
munh ham ne na phir qabr ki chadar se nikala
ThanDa hi na kar den kahin mai-kash ko hava.en
garmi ko to phir shisha-o-saghar se nikala
sazish koi le jaa.e na mujh ko kisi lamhe
rozi ke liye main ne qadam ghar se nikala
shayad miri tanha.i ko samjha hai hava ne
ik giit naya patton ki sarsar se nikala
ye soch ke saa.e men safar ḳhatm na ho jaa.e
sahra ka pata dhuup ke andar se nikala
itne bhi alam-nak na the shaam ke saa.e
kis vahm ki ḳhatir ye junun sar se nikala
Leave a Reply