kahan ja.ega dard un ki juda.i ka ḳhafa ho kar
mire dil se nikal kar mere pahlu se juda ho kar
janab-e-shaiḳh masjid men na baiThen parsa ho kar
baqa hasil karen us ki mohabbat men fana ho kar
ta.ajjub hai buton ko baat karna bhi nahin aata
ḳhuda.i men ḳhuda.i karne baiThe hain ḳhuda ho kar
main vo huun saḳht jo uf bhi na niklegi mire munh se
jafaon par jafa.en jis qadar tu chahta ho kar
baja kahte hain jo kahte hain tujh ko yar-e-harja.i
ki tu rahta hai sab ke dil men sab ka ashna ho kar
musibat men raha karte hain jo bhi daana duniya men
unhin ko pista hai charḳh-e-zalim asiya ho kar
tumhare ham hamare tum tumhen kya vasta is se
adu ke ashna kyuun ho hamare ashna ho kar
sar-e-mahfil jo mujh ko dekhte hain vo kan-ankhiyon se
chhupi baiThi hai shoḳhi un ki ankhon men haya ho kar
sahar tak us ke sadmon se ho jan-bar ghair mumkin hai
shab-e-furqat mire ghar aa.i hai meri qaza ho kar
kahan tak shauq-e-nazzara hai be-ḳhud ho ke ai ‘sabir’
paḌa huun main kisi ki rahguzar men naqsh-e-pa ho kar
janab-e-dil ki baton men na aana dekh ai ‘sabir’
ye hazrat rah-e-ulfat men hain rahzan rahnuma ho kar
Leave a Reply