ḳhizr-e-manzil na tha ibn-e-mariyam na tha
gham jahan tha koi shamil-e-gham na tha
dil ko apni tabahi ka kuchh gham na tha
us ki ankhon ka irshad mub.ham na tha
is se pahle bhi sau baar dhaḌka tha dil
dil dhaḌakne ka lekin ye aalam na tha
kab falak par sitare farozan na the
kab zamin par sitaron ka matam na tha
jam-e-jam men jo sadiyon sulagta raha
aur kya tha agar ḳhun-e-adam na tha
us ne puchha na tha ‘shor’ jab tak mizaj
aankh nam nam na thi dard kam kam na tha
Leave a Reply