kiwaD Band Bhi Hai Aur Nim-Wa Bhi Hai

kivāḌ band bhī hai aur nīm-vā bhī hai

vo ruup anuup zarā ḳhush zarā ḳhafā bhī hai

sharīk-e-rāh-e-vafā gul-sarisht māh-ba-kaf

qatīl-e-gardish-e-daurāñ barahna-pā bhī hai

haqīqatoñ se fasānoñ ko kyā ilāqa hai

ḳhudā nahīñ bhī hai logo magar ḳhudā bhī hai

hujūm-e-naġhma-o-nik.hat meñ yuuñ to hotā hai

ḳhatā muaaf ḳhatā to nahīñ ḳhatā bhī hai

vahī ġhazal kī rivāyāt-e-kāfirī haiñ abhī

vahī hijāb vahī shoḳhī-e-adā bhī hai

ufuq ufuq abhī insāñ kī manzileñ haiñ ‘vaqār’

usī zamīñ pe magar rāh-e-irtiqā bhī hai

Leave a Comment