mohabbat men muravvat ki hikayat ke suḳhan ḳhali
ki juun fanus dil ki sham.a bin hai pairahan ḳhali
rahe kab honge ab tak bastiyon men naqsh shirin ke
dil apna kis se karta hoga yaron kohkan ḳhali
ga.i ye kah kar aane se ḳhizan ke peshtar bulbul
phir in ankhon se kyunkar dekha ja.ega chaman ḳhali
mua aage hi jal kar sham.a se kya ḳhuub samjha tha
na sakta dekh parvana sajan se anjuman ḳhali
ḳhasarat hai ‘yaqin’ sarkar ki itna suḳhan mat kar
na kar in motiyon se juun sadaf apna dahan ḳhali
Leave a Reply