tajdīd zindagī ke ishāre hue to haiñ
kuchh pal sahī vo aaj hamāre hue to haiñ
maanā nasīb ho na sakā koī āftāb
rātoñ meñ merī chāñd sitāre hue to haiñ
be-shak haqīqatoñ se bahut duur hai magar
be-shak yahī sarāb sahāre hue to haiñ
chhūTā nahīñ hai dāman-e-ummīd ab talak
ham bhī ai dost vaqt ke maare hue to haiñ
ye aur baat ham hī na mahzūz ho sake
ḳhush-rañg zindagī ke nazāre hue to haiñ