haa.e re ahd-e-guzishta ki karam-farma.iyan
anjuman-dar-anjuman tanha.iyan tanha.iyan
ishq ko hasil hain un ki bhi karam-farma.iyan
umr bhar karte rahe hain jo sitam-ara.iyan
mil ke donon ne mujhe rusva-e-duniya kar diya
kuchh meri nadaniyan thiin kuchh tiri dana.iyan
lafz-o-ma.ani men ulajh kar rah ga.e ahbab sab
kaash koi dekh sakta qalb ki gahra.iyan
ab ḳhulus-e-dil ki baten ḳhvab ho kar rah ga.iin
jis taraf dekho faqat parchha.iyan parchha.iyan
koi hansta to nahin aansu bahane par mire
ba.is-e-taskin-e-ḳhatir hain mujhe tanha.iyan
dekhiye ye bhi ki dil ka ḳhuun hota to nahin
vaj.h-e-raunaq hi sahi ye anjuman-ara.iyan
meri nazron ne unhen kuchh gudgudaya is tarah
karvaTen lene lagin soi hui angḌa.iyan
ahl-e-duniya se shikayat kya gila kya ranj kya
mujh ko le Dubin mire ehsas ki gahra.iyan
dard-e-dil jab tak na shamil ho to ‘qadir’ sher kya
zindagi bhar karte rahiye qafiya-paima.iyan
Leave a Reply