salaf se log un pe mar rahe hain hamesha janen liya karenge
yahi karishme hua kiye hain yahi karishme hua karenge
hamen jo be-jurm piste ho ye jante ho ki kya karenge
khuda ne chaha to surma ho kar tumhari ankhon men ja karenge
na rahne denge kabhi vo baham tapak dekhenge un men jis dam
badan se kharij karenge jaan ko jigar se dil ko juda karenge
chamak hai us men mohabbatana ye be-qarari hai ashiqana
maza uthaenge dard-e-dil ka kabhi na is ki dava karenge
badha to hai rabt ham se tum se khuda ne chaha to dekh loge
tumhare pahlu men yaar dil ki tarah hamesha raha karenge
kisi ka ehsan ham na lenge kisi ko taklif kuchh na denge
khuda ne paida kiya hai ham ko khuda hi se iltija karenge
jab aenge vo pae-ayadat to hogi dil ko umid-e-sehhat
zamana mujh ko dua karega masih meri dava karenge
nahin khush-aamal agar nahin huun farishte turbat men khashmagin hon
khuda ki rahmat se mutmain huun ye kya karenge vo kya karenge
tamam hote hain dekh jaun jamal aa ke hamen dikhao
tumhare gham men labon pe dam hai koi ghadi men qaza karenge
rahegi yaad un ki khush-khirami mira sukhan hai ye la-kalami
qadam na parde se vo nikalen miri nazar men phira karenge
rulae jaati hai un ki hasrat chali hi aati hai mujh ko riqqat
rahengi kaahe ko meri ankhen jo yunhi aansu baha karenge
mila hai aram ashiyan ka nahin kuchh andesha baghban ka
riha bhi honge to aa ke akasr ham is qafas men raha karenge
kahin thikana nahin hamara tumhari shafqat ka hai sahara
gharib hain do hamen dilasa tumhare haq men dua karenge
laraz rahe hain satane vaale khuda ke aage kai hain naale
gurez un se karega mahshar ye vo qayamat bapa karenge
agar chhute bhi qafas se bulbul karegi barbad hasrat-e-gul
rasai hogi na ashiyan tak chaman men tinke chuna karenge
qubul hogi dua hamari karenge jis dam ham ah-o-zari
kabhi na jaegi uupar uupar hamari hajat rava karenge
nigahen un par jo ham ne dalin unhon ne ankhen ‘sharaf’ nikalin
sitam ye dhaya hai kam-sini men javan ho ke vo kya karenge
Leave a Reply