dard aur gham ke maare nikle raat safar sahra aur main
ek hi jang ke haare nikle raat safar sahra aur main
dukh ki chadar taan ke ham ne hijr ki raat guzari thi
aansu jugnu taare nikle raat safar sahra aur main
gharq hue phir mauj-e-fana men ik ik kar ke sab ke sab
dekho faani saare nikle raat safar sahra aur main
ham ne jis ki buniyadon men saans ka siisa daala tha
mitti ret aur gaare nikle raat safar sahra aur main
main ne socha tha ki ye ‘amabar’ qismat meri badal denge
mujh se bichhad ke ye saare nikle raat safar sahra aur main
Leave a Reply