miTTi ne jab ḳhauf ugana siikh liya
inTon ne divar chabana siikh liya
munh par bhuuk tamanche kha kar baiThi hai
bhukon ne kachre se khana siikh liya
yaar ab mujh ko chhoḌ ke tu ja sakta hai
main ne ḳhvabon ko dafnana siikh liya
jitni gahri chup hai utni avazen
ḳhamoshi ne shor machana siikh liya
miTTi par ungli se miTTi likh dena
main ne apna dil bahlana siikh liya
andar ka dukh bahar le kar a.ungi
main ne bhi tasvir banana siikh liya
Leave a Reply