har musibat bhi shadmani thi
ik bala thi ki naujavani thi
ulfat ik kavish-e-nihani thi
kisi surat se maut aani thi
justuju ne mila diya tujh se
raz-jui bhi raz-dani thi
vo the aur ḳhvab-e-aish ki lazzat
ham the aur dard ki kahani thi
jis se taskin ho ga.i dil ki
nama-bar ki ghalat-bayani thi
ruh-parvar tha dard-e-dil apna
mehmani bhi mezbani thi
ham bhi rahte the un ki nazron men
kabhi ham par bhi mehrbani thi
kis ne khoya hamen zamane se
kya kahen kis ki mehrbani thi
us ke hathon ‘munir’ marna tha
phir to ye maut zindagani thi
Leave a Reply