dil bhi dagh-e-naqsh-e-kuhan se bujha hua tha
chand ke gird bhi ik haala sa bana hua tha
us ko ek ghazal pahunchani thi jaldi men
lekin raste men sannaTa khaḌa hua tha
sho.ala chuum ke rakkhe us ne saans diye men
main ne jhuk kar dekha kajal baha hua tha
chhat se chehre par girte hi rahe sitare
asman ka ḳhema thoḌa phaTa hua tha
basti se nikle hain kuchh miTTi ke khilaune
insanon ka nam-o-nishan tak miTa hua tha
haath bandh kar mere saare adu khaḌe the
lekin main apni taḳhrib pe tula hua tha
mushk bhari hai main ne donon hathon kaTa kar
sochon ke paani par pahra laga hua tha
us ki ankhen bhi kuchh roi roi si thiin
aur main bhi us shaam bahut hi thaka hua tha
bhiig raha tha sabza os ke moti pahne
sukha badal kun.en ke andar gira hua tha
bachcha ik pahiye ko le kar bhaag raha tha
vaqt jhuki divar ke uupar baha hua tha
shah-rahon par ukhḌe ukhḌe saans paḌe the
dariya bhari shahr ke niche daba hua tha
siine se sanson ka rishta TuuT chuka tha
qaidi ke pairon ka taala khula hua tha
Leave a Reply