ji men aata hai ki is kaan se surakh karun
khinch kar dusri janib se nikalun us ko
saari ki saari nichodun ye ragen, saaf karun
bhar duun resham ki jalai hui bukki in men
qahqahati hui is bhiid men shamil ho kar
main bhi ik baar hansun, khuub hansun, khuub hansun
Leave a Reply