• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Ye Kaisi Tanhai Hai

Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Ye Kaisi Tanhai Hai

tu bhi chup hai main bhi chup huun ye kaisi tanha.i hai

tere saath tiri yaad aa.i kya tu sach-much aa.i hai

shayad vo din pahla din tha palken bojhal hone ka

mujh ko dekhte hi jab us ki angḌa.i sharma.i hai

us din pahli baar hua tha mujh ko rifaqat ka ehsas

jab us ke malbus ki ḳhushbu ghar pahunchane aa.i hai

husn se arz-e-shauq na karna husn ko zak pahunchana hai

ham ne arz-e-shauq na kar ke husn ko zak pahuncha.i hai

ham ko aur to kuchh nahin sujha albatta us ke dil men

soz-e-raqabat paida kar ke us ki niind uḌaa.i hai

ham donon mil kar bhi dilon ki tanha.i men bhaTkenge

pagal kuchh to soch ye tu ne kaisi shakl bana.i hai

ishq-e-pechan ki sandal par jaane kis din bel chaḌhe

kyari men paani Thahra hai divaron par kaa.i hai

husn ke jaane kitne chehre husn ke jaane kitne naam

ishq ka pesha husn-parasti ishq baḌa harja.i hai

aaj bahut din ba.ad main apne kamre tak aa nikla tha

juun hi darvaza khola hai us ki ḳhushbu aa.i hai

ek to itna habs hai phir main sansen roke baiTha huun

virani ne jhaḌu de ke ghar men dhuul uḌaa.i hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phul Kaliyan Bhi Hum Bichhaenge

Yun Wahshat-E-Junun Se Bachaya Gaya Mujhe

Jo Bhed Asl Tha Wo to Kabhi Khula Hi Nahin

allama-iqbal

La Phir Ek Bar Wahi Baada O Jam Ai Saqi

ahmad-nadeem-qasmi

Maine Is dasht Ki Wusat Mein Shabistan Pae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet