har rag-e-ḳhar ki tahvil men ḳhuun hai mera
be-karan dasht dabistan-e-junun hai mera
naqsh-e-mauhum hai sab vus.at-e-raz-o-aflak
mere shahpar ke tale said-e-zabun hai mera
shaḳhen talvar ki surat hain gul-o-barg hain sang
dil ka ye naḳhl giraftar-e-fusun hai mera
zaḳhm kya hai kisi shamshir-e-nigah ka ejaaz
ashk kya hai samar-e-fasl-e-darun hai mera
hijr ka chand dahakta hua angara sahi
magar is se bhi kahin shola fuzun hai mera
sab mire dil pe karam us nigah-e-naz ka hai
be-qarari hai miri aur na sukun hai mera
gham ka zahrab rag o pai men jo utra ‘ishrat’
tab ye malum hua mujh ko vo kyuun hai mera
Leave a Reply