dil atish-e-hijran se jalana nahin achchha
ai shoala-rukho aag lagana nahin achchha
kis gul ke tasavvur men hai ai laala jigar-khun
ye daagh kaleje pe uthana nahin achchha
aaya hai ayadat ko masiha sar-e-balin
ai marg thahar ja abhi aana nahin achchha
sone de shab-e-vasl-e-ghariban hai abhi se
ai murgh-e-sahar shor machana nahin achchha
tum jaate ho kya jaan miri jaati hai sahib
ai jan-e-jahan aap ka jaana nahin achchha
aa ja shab-e-furqat men qasam tum ko khuda ki
ai maut bas ab der lagana nahin achchha
pahuncha de saba kucha-e-janan men pas-e-marg
jangal men miri khaak udana nahin achchha
aa jaae na dil aap ka bhi aur kisi par
dekho miri jaan aankh ladana nahin achchha
kar dunga abhi hashr bapa dekhiyo jallad
dhabba ye mire khuun ka chhudana nahin achchha
ai fakhta us sarv-e-sahi qad ka huun shaida
ku-ku ki sada mujh ko sunana nahin achchha
Leave a Reply