sadme yuun ghair par nahin aate
tumhen jaur is qadar nahin aate
phir tasalli ki kaun si surat
khvab men bhi nazar nahin aate
aate hain jab ki na-umid hon ham
kabhi vo vaade par nahin aate
roz ke intizar ne maara
saaf kah do agar nahin aate
nahin maalum is ka kya baais
roz kahte hain par nahin aate
aur tum kis ke ghar nahin jaate
ek mere hi ghar nahin aate
ab to hai qahr aap ka jaana
nahin aate agar nahin aate
sach hai hiile mujhi ko aate hain
aur tumhen kis qadar nahin aate
un ko main is tarah bhulaun ‘nizam’
yaad kis baat par nahin aate
Leave a Reply