har chand ki ham murid-e-pur-qahr-o-ghazab hain
batil ke parastar na pahle the na ab hain
vo log kahan ab jinhen kahte the mujahid
is daur-e-taraqqi men sab aram-talab hain
fursat jo mile gham se to mismar hi kar duun
jitne bhi sar-e-rah ye aivan-e-tarab hain
kya janiye kis nashsha-e-ghaflat men hain sarshar
mad.hosh nahin ham magar hushyar bhi kab hain
rahbar hain ki rahzan hain samajh men nahin aata
hamdard nahin ek bhi hamrah to sab hain
ima-e-nazar ho to dil-o-jan bhi tasadduq
ham vo nahin jo muntazir-e-jumbish-e-lab hain
dil Dubne lagta hai tasavvur se bhi jin ke
aise bhi maqamat sar-e-rah-e-talab hain
dil chiir ga.i jin ki fughan-e-shab-e-tarik
ab rang-e-sahar dekh ke kyon muhr-ba-lab hain
‘rahi’ se mile jab bhi ye mahsus kiya hai
us shaḳhs ke jazbat-o-ḳhayalat ajab hain
Leave a Reply