ye sochiye ki kyon hava pe zor chal nahin raha
kisi bhi ruḳh se aap ka charagh jal nahin raha
ghalat hai ye ki vaqt ki jabin pe bal nahin raha
magar ye pahli baar hai ki bal nikal nahin raha
main azma.ishon men us maqam tak to aa ga.i
ki aag men khaḌi huun aur jism jal nahin raha
safar men ek hujum tha magar ye raaz ab khula
ki koi bhi yahan kisi ke saath chal nahin raha
hararaten to aa ga.iin tamazaton talak magar
hai darmiyan jo barf ki pahaḌ gal nahin raha
Leave a Reply