sub.h-e-qayamat jaan se guzarne lagti hai
tez chalun to saans bikharne lagti hai
shahr-e-jan men ishq ki sham.en bujhte hi
qatra qatra raat utarne lagti hai
kabhi kabhi ye zaḳhm khilati purva.i
rang miri tasvir men bharne lagti hai
raat ki ankhen bujhte bujhte mahfil men
parvanon ki ḳhaak bikharne lagti hai
izn-e-huzuri us dar se mil jaa.e agar
patthar pe tasvir ubharne lagti hai
itni ḳhush-nazari bhi ‘saghar’ Thiik nahin
aankh kabhi ta.abir se Darne lagti hai
Leave a Reply